Lailahailallah
trp
Golden Words -Maroof Peer (Hinglish)
Bismillah Hir Rehmannir Rahim

ala inna auliya allahe la khawfoon aleiheem wala hoom ya zanoon." al hamdu lilahi rabbil aalimin assalaatu wassalaamu alaika ya rasooluhu nabi-ul-karim wa aala aalihi wa ashaabehi wa baarik wassalim.


  1. Har Lafz Dui Se Paida Hota hai
  2. Badlao Ka Naam Hi Waqt Hai. Badlahat Ki Tezi Hi Waqt Ki Raftar Hai
  3. Haq Ek Hai. Par Jaanne Walo Ne Use Alag Alag dhang Se Jana hai.
  4. Sone Or Jagne Me Sirf Palak Ke Khulne Or Band Hone Ka Fark Hai.
  5. Jo Khwahish Se Bhara Hai Wo Hi Kahi Pohanchna Chahta Hai.
  6. Nafsaniyat Se Bhara Hua Man Raaz Se Waqif Nahi Ho Pata Sirf Bahar Hi Bhatakta Rahta Hai.
  7. Nafsaniyat se Bhara Hua Man Jaha Hai, Waha Kabhi Nahi Hota Or Jaha Nahi Hai Waha sada Dolta Rehta Hai.
  8. Nafs Hamesha Badlao Par Jeeta Hai.
  9. Sab Se Badi Khwahish, Koi Khwahish Na Hona.
  10. Insan Choti Khwahish Ko Badi Khwahish Se Badal Deta Hai, Yani Choti Khwahish Ko Us Waqt Chodta Hai Jab Us Ke
  11. Jis Shakhs Ko Badsurti Ka Pata Nahi Hota Use Khubsurti Ka Bhi Pata Nahi Hota.
  12. Hum Usi Baat Par Zor Dete Hai Jaha Mukabil Pehle Se Hi Paida Ho Chuka Hai.
  13. Zindagi Ek Lambe Fel-e-Jariya(continution) Ka Naam Hai, Jaha Koi Na Koi Fel (work) Zahur Main Rehta Hai Gussa Karna,
  14. Har Khoj Wahi Dobara Khoj Hai Aisi Koi Khoj Na Thi Jo Jani Na Gai Ho, Par Jinho Ne Bhi Jana tha Wo Utne Bulandi
  15. Har Parehsani Ki Wajah Malkiyat Ka Daawa Hai.
  16. Admi Us Cheez Ka Dikhawa Karta Hai Jis Se Puri Tarha Se Lutf Andoz Nahi Hota.
  17. Apne Bachao Ke Liye Har Koi Lad Raha Hai, Magar Wahi Jeet Pata Hai Jo Sab Se Behtar Ho.
  18. Jankari Hi Janne Se Rok Deti hai Kiyu K Har Jankari Adhuri Or Udhar Hoti Hai.
  19. Hum Allah Ke Bare Main Jante Hai Par Allah Ko Nahi Jante.
  20. Jo Aadmi Afwah Sun Kar Laut Jaye Us Ki Koi Manzil Nahi Hoti.
  1. Gussa Pagalpan Hai Par Waqti Taor Par.
  2. Har Saans Par Hum Marte Hai Or Jeete Hai.
  3. Is Dunya Me Insaan Se Ziyada Kam Akal Koi Nahi Hai Ek Maane Mai.
  4. HAr Khwhish Insan ko Bahar se Pareshan Karti hai Magar Ummid insan ko andar se pareshan Karti hai.
  5. Tamam Khwahishat Ka Darwaza Jism Hai.
  6. Admi Usi Se Mohabbat Kar Sakta Hai Jis Se Nafrat Kar Sakta Hai.
  7. Zahiri Hawas Ki Kuwwat Ko Bhi Bila Wajah Kharch Karna Isra-fe-Azim Hai.
  8. Ujale Ne Hi Andhere Ko Paida Kiya Hai Jab Tak Ujala Na Tha Tab Tak Andhere Ka Wajud Hi Na Tha.
  9. Siyasat Kharab Nahi Balke Siyasat Hamesha Aise Loge Ke Haatho Me Gai Jo Kharab Hi The. Jinho Ne Siyasat Ka Galat
  10. Khuda Itna Bada Hai Ke Us Ke Bare Me Bhi Batane Ke Liye Alfaz Chote Padh Jate Hai.
  11. Bhul Ghadi Ki Pindolium Ki Tarha Hai, Agar Ek Chod Se Bach Gaya To Dusre Chod Par Hona Hi Hai.
  12. Insaan Jeena Bhi Caheta Hai Or Marna Bhi Chaheta Hai.
  13. Insaan Me Marne Ki Khwahish Bhi Chupi Hui Hai.
  14. Khubsurti Ek Raaz Hai.
  15. Allah Ki Khubsurti Ka Naam Mohammad Hai Or Mohammad Hayatun Nabi hai or Hayatun Nabi Khubsurti Hai.
  16. Beta Baap Se Paida Hota Hai, Magar Baap Bete Ko Paida Nahi Kar Sakta.
  17. Aadam Aleyhissalam Se Pehle Bhi Zaat-e-Aadam Aleyhissalam Ru-e-Zameen Par Maojud Thi.
  18. Jo Na Kamyab Hote Hai Wo Khali Marte Hai, Or Jo Kamyab Hote Hai Or Bhi Ziyada Khali Marte Hai.
  19. Insaan Me Kuch Aisa Hai Jo Kabhi Nahi Bharta.
  20. Har Khwahish Udhar Hai Isi Liye Aadmi Khwahish Puri Hone Ke Bawajud Pareshan Rehta Hai.
  1. Jaha Sab Khwahishat Puri Ho Jati Hai Is Jagah Ka Naam Dozakh Hai.
  2. Insaan Jitna Chaalak Hota Jata Hai Us Ke Andar KI Masumyat Itni Hi Khatm Ho Jati Hai.
  3. Bemarya Bahar Se aati Hai Or Tandrusti Andar Se.
  4. Khushi Or Gam Ke Beech Me Udasi Hai.
  5. Har Koi Hame Waisa Hi Dikhai Deta Hai Jaisi Hamari Soch Hai.
  6. Na Samajh Ko Sawal Sunai Padta Hai or Saaheb-e-Samajh Ko Puchne Wala.
  7. Udhar Jawab Kachre Ke Alawa Kuch Bhi Nahi.
  8. Maut Khatma Nahi Balke Puri Zindagi Ka Markaz-e-Kamil Hai.
  9. Maut Zindagi Ki Aham Halat Hai.
  10. Maut Ka Didar Usi Waqt Hota Hia Jab Kisi Apne Ki Maut Hoti Hai.
  11. Saaheb-e-Samajh Dusro Ki Bhul Se Bhi Seekh Leta Hai Or Na Samajh Khud Ki Bhul Se Bhi Nahi Seekta.
  12. Maut Wo Bulandi Hai Jaha Se Zindagi Ko Behtar Dhang Se Dekha Ja Sakta Hai.
  13. Eilm Ki Diwar Ke Aage Cheen Ki Diwar Choti Hai.
  14. Kuch Or Banne Ki Chah Insaan Ko Pagal Bana Deti Hai.
  15. Jannati Wo Hai Jis Ke Andar Jannat Ho Na Ke Wo Jo Jannat Me Rahne Ka Khwab Dekhta Hai.
  16. Insaan Pana Sab Chahta Hai Or Khona Kuch Nahi.
  17. Is Dunya Main Ustad Ban Kar Seekhne Se Behtar Koi Tarika Nahi.
  18. Meda Shehwat Ka Darwaza Hai.
  19. Har Paida Hone Wala Bachcha Apne Saath Ek Swaal Le Kar Paida Hota Hai.
  20. Sukoon Se Wohi Mar Sakta Hai Jis Ki Sab Khwaishaat Jhad Gayee Ho.
  1. Chize Waisi Nazar Nahi Aati Jaise Wo Hoti Hai Balke Waise Hi Nazar Aati Hai Jis Tarah Hum Dekhna Chate Hai.
  2. Asal Raz Humare Karne Me Nahi Bal Ke Humare Hone Me Hai
  3. Janne Wale Hi Nahi Janne Ka Dawa Karte Hai
  4. Nahi Janne Wala Hamesha Janne Ka Dikhawa Karta Hai.
  5. Khud Ki Nafi Khuda Ki Nafi Hai.
  6. Rahe Tassawwuf Me Khud Ko Na Janna Sab Se Bada Kufr Hai.
  7. Tankid Me Taamir Poshida Hai.
  8. Na Kisi Ki Tariff Uske Samne Karo Na Uski Burayee Picheh
  9. Tariff Or Burayee Dono Nafs Ka Dhoka Hai Isiliye Dono Chod Dene Ke Kabil Hai
  10. Humare Dukh Ki Wajah Hum Khud Hai
  11. Kuch Chereh Rote Wakt Or Hasin Ho Jaate Hai
  12. Sab Akidat Pe Naaz Karte Hai Magar Kuch Log Aise Hai Jin Per Akidat Naaz Karti Hai
  13. Wakt K Shahansha Wahi Hai Jo Sukh Or Dukh K Par Ho Jaye.
  14. Buzoorgo Ne Hamesha Se Chaaha K Aap Kush Rahe Dua Ki Makbuliyat K Liye Mahol Aap Ko Hi Banana Hoga.
  15. Jo Sukh Se Be Niyaaz Hai Use Koi Dhukhi Nahi Kar Sakta.
  16. Mann Bechain Rehta Hai Aisa Nahi Bal K Mann Hi Bachaini Hai.
  17. Aadmi Kam Karne Se Thak Jata Hai Or Khel Se Tazaa.
  18. Jise Hum Dhund Rahe Hai Wo Hum Khud Hai.
  19. Ja Humara Hona Hai Wohi Humara Markaze Waidat Hai.
  20. Janne Wale Ko Janna Asal Janna Hai Ki Hum Me Janne Wala Kon Hai.
  1. Khuda Humse Utna Hi Door Hai Jitnaa Hum Apne Aap Se.
  2. Jisne Khud Ko Nahi Dekha Usne Rooh Ko Nahi Dekha.
  3. Sahibe Samajh Wo Log Hai Jo Logo Ko Maaf Kar K Kush Hote Hai Or Nasamajh Wo Hai Jo Logo Ko Kasurwar Bana
  4. Wohi Log Mustakbil Ki Talash Karte Hai Jo Apne Haal Se Dhuki Wo Pareshaan Hai.
  5. Takabbur Ruh Ka Cancer Hai.
  6. Takabbur Karne Wala Murde Ki Manind Hai.
  7. Mann Khuwaishaat Ka Darawaza Hai.
  8. Tann Khuwaishaat Ka Karkhaana Hai.
  9. Markaz Sakwat Yaani Beharkati Ka Markaz Se Hi Tamam Harkate Zahur Me Aati Hai.
  10. Humme Khuda Bich K Manind Maujud Hai.
  11. Hum Wohi Jaan Sakte Hai Jo Hum Ho Gaye Hai.
  12. Har Daur Me Mazhab Ko Nuksaan Aalimo Se Zada Aur Jaahilo Se Kam Pauchaa Hai.
  13. Wo Jhut Sab Me Zyaada Khatar Naak Hai Jo Sach Keh Kar Kaha Jaaye.
  14. Kanoon Jitna Sakt Hoga Log Utne Hi Bemaan Honge
  15. Sharriyat Bahar Ki Taraf Aur Tassawwuf Andar Ki Taraf Aane Ka Raasta Hai.
  16. Aadmi Budha Ho Jata Hai Magar Uski Khuwaishaat Kabhi Budhi Nahi Hoti.
  17. Kudrat Aap K Fanaa Aur Baka Ki Fikar Nahi Karti
  18. Saare Alfaaz Khokle Hai Pani Kehne Se Piyaas Nahi Bujhti
  19. Ahel-e- Nazar Wo Hai Jo Khushi Aur Gum Ek Sath Dekhe.
  20. Tum Jisse Dushmani Rakhoge Tum Waise Ho Jaoge.
  21. Kanjus Aadmi Malo Daulat Hone Ke Bawajud Maaldar Nahi Hota.
  22. Auarat Gehrai Me Maa Hoti Hai, Aur Aadmi Gehrai Me Beta.
  23. Jo Sex Se Paida Hota Hai Uski Hi Maut Hogi.
  24. Har Beech Khud Me Darakht Banne Ki Kabliyat Le Kar Paida Hpta Hai.
trp