Lailahailallah
trp
e-Books ( Hindi )
Lo Ujale Laut Aaye

Intesab

Laakho ahsaan w shukr us Rabbe kaynaat ka, karodo darood o salam Aqaaye naamdar Madni Taajdar Sarkare do Jaha Mohammed S.A.W par w sad dar sad ahsaan w shukr Peerane peer roshan zameer Hazrat Gause Azam Dastagir R.A w Khwajae Khwajga Khwaja Moinuddin Chishty R.A w tamaami Auliya w Mashakheene Rizwan Allah Taala ajmaeen ka jin ki roohani imdaad har kadam par shamile haal hai.

Insaan Khuda ka mazhare atam hai. Is liye wo qabiliyat rakhta hai ke sifaate bashri ko fana karke Khuda me mil jaye aur Khuda aur Khuda ke sifaat haasil karke baqa ke martabe ko pahche. Rasool w paighambar A.S Khuda ke Mazhare Khaas hote hain. Husule Maarefat ke liye Insaan ko mukhtalif zaraye se guzarna padta hai. Mere aaqa w maula Peer roshan zameer Hazrat Khwaja Shaikh Mohammed Abdul Rauf Shah Qadri Alchishty Peer FEHMI M.A ne inhi ramooz se aagahi baksh kar khilafate qadriya aaliya khulfayyia w khilafate chishtiya bahishtiya se sarfaraz farma kar musnad rushdo hidayat par fayez kiya. Isi rushdo hidayat ke zaman me kitabul haaza “Lo Ujale Laut Aaye” hai. Jo apne Peerao murshid ki baargahe Wilayat me nazar karta hu.


Gar qubul aftad zahe uzzo sharf
 Khakpaye Peer Fehmi Khwaja Shaikh Mohammed Farooque Shah Qadri Alchishty MAROOF PEER Madzillahul Aali


DUI KAHA SE PAIDA HOTI HAI ?

Nukta: Dui aql ki ijaad hai yaani wahmo gumaan hai. Aql garmi ko alag thandi ko alag dekhti w janti hai. Ye dono ko ek dekh nahi sakti ya yu kaho bardasht nahi kar sakti jis ki waja se dui ka janm hota hai. Halake dono ek hi hain. Agar ham duniya se garmi ka naamo nishaan mita de thandi khud ba khud khatm ho jayegi, magar aql ye samajhti hai agar garmi ko mita de to thandi rah jayegi magar aisa hargiz nahi. Jab tak noor nahi tha tab tak andhera nahi tha.

Chiz ek hi hai magar aql us ko do hisso me dekhti hai. Jabke wajood dui se bahar hota hai. Maslan wajood ke andar bahne wali quwwat ki rao ek hoti hai. Agar mai kahu ke aap ke pair ki ungli ko tod diya jaye to kya kuch aankh ko fark hoga? Tum kaho ge hargiz nahi hoga, kyuke aankh alag hai aur pair ki ungli alag hai. Magar bahar se kuch fark mahsoos na ho, par andar se aankh ko bahot fark hoga. Kyuke andar se bahne wali quwwate rao ek hai aur badi baat ye hai ke tamaam khulyaat ne hi hasbe zarurat khud ba khud tarakki karke in sifaat ke mausoof bane.

Maa ke pet me ek hi khulya hota hai. Waha na ankh hoti hai na hath, na pair na deegar aaza magar juhi daure tarakkiyaat shuru hota hai to khulyaat khud ko dauhre banana shuru kar deta hai jis ki badaulat tamaam aaza namudar hone lagte hain. Jitna ahsaas ka madda aap ki ungli me hai utna hi ahsaas ka madda aap ki ankh me bhi maujood hai. Kyuke dono ek khulye se hi to bane hue hain. Dusre lafzo me kaho to ungli dekh sakti hai, jis tarha aankh dekh sakti hai. Jitni gehrai se aankh dekh sakti hai utni gehrai se jism ka har khulya ahsas kar sakta hai.

Kya tasawwuf ko budhape me sikhna chahiye ?

Tasawwuf jine ka hunar sikhata hai aur jine ka hunar jawani me chahiye budhape me sikh kar kiya kare ge.
Qaul: Har lafz dui se payda hota hai.
SHAOOR KI KISME
Nukta: Shaoor ki do kisme hain. Ek mai hun ka shaoor dusra hun ka shaoor. Jab tum puri tarha se mit jao ge mahaz ek khali saf ho jao ge, tab bhi shaoor baki rahe ga par mai fana ho jaye ga. "Mai" ka ahsas hi admi ko hamesha bahar ki or dhakelta hai jaise "Mai" ja raha hu," Mai" kha raha hu.
Qaul:Tagayyur ka naam hi waqt hai. Badlahat ki tezi hi waqt ki raftar hai.

Qaul:Haq ek hai par janne walo ne use alag alag dhang se jana hai.

Raaz kya hai ?

Naam aur anaam ke bich me ek hona hai. Isi ka naam hai raaz. Jo kai hote huwe bhi ek bana rahta hai. Use hi ham raaz kehte hai. Raaz ka matlab hota hai jise ham jaan bhi lete hai aur phir bhi nahi jaan pate jise ham pahchan bhi lete hai phir bhi wo anjana rahe jaye. La ilmi ke uper ilm hai aur ilm ke upar raaz hai. Jahil ko ye guman hai ke wo nahi jaanta aur alim ko ye guman hai ke wo jaanta hai. kisi ka qaul hai ke jahil to andhere me bhatakta hai par alim to is se bade andhero me bhatakte rahte hain.
Jahil is liye bhatakta hai ke wo nahi janta aur alim is liye bhatakta hai ke mai janta hu jis ki waja se us me se aajizi khatm ho jati hai. Aur takabbur maqam kar jata hai. Raaz janne ka naam nahi, balke janne ke uper uth jana hai.
Raaz ke mayni hai ke jo andhere me hai wahi ujale me hai. Paidaish w maut ek hai isi ko janne ka naam raaz hai. Jo raazdan hai, un ka qaul hai "mai" ko mitao kyuke jab tak mai ho ga tab tak raaz ko janne ka shauk w zauq me itna josh na hoga. "Mai" ke mayni hai "mai janta hu mujhe sab pata hai aur jaise hi mai ko fana kare ga fauran raaz ko janne ka josh badh jaye ga. Ek hai ilm se pahle ka raaz. Ek hai ilm ke baad ka raaz. Ek ankh wala raaz ek nabina raaz hai.

Qaul:
Sone aur jagne me sirf palak ke kholne aur band hone ka fark hai.

Kasafat aur Latafat me Fark

Jo shaye hame hawaas ke zarye ya hawaas se banaye gaye aala jaat ke zarye hame maloom ho ya jise hum mehsoos kar sake use kasafat kahe ge. Aur jo baghair hawaase khamsa ke zarye maloom ho use hum latafat kahe ge.
"Jis admi me raazo ki samajh aa jati hai wo latafat ka darwaza khol leta hai".
Agar mai baghair kaan ke aap ko sun saku ya baghair ankh ke aap ko dekh saku to ye latafat hai.

trp