Lailahailallah
trp
Golden Words -Hazrat Ali (Hinglish)
Bismillah Hir Rehmannir Rahim

ala inna auliya allahe la khawfoon aleiheem wala hoom ya zanoon." al hamdu lilahi rabbil aalimin assalaatu wassalaamu alaika ya rasooluhu nabi-ul-karim wa aala aalihi wa ashaabehi wa baarik wassalim.


  1. Khuda se daro aur tumhe kisi se darne ki zarurat nahi hai.
  2. Dil ki tamam uljhano se nijat khuda ki farma bardari hai.
  3. Allah ka zikr dil ki shifa hai.
  4. Apni zindagi is tarah guzaro ke jab aap mar jao to log khamosh ho jaye, aur jab tum zinda ho to wo aap ke sath ke liye tarse.
  5. Zindagi ke din badlo ki tarah se guzarte hai, to acche kaam kro jab tum zinda ho.
  6. Har bewakufi behtar hai duniya ki mohabbat ki Banisbat.
  7. Mauka deri se aata hai, aur jaldi se guzar jata hai.
  8. Ghamand,buzdili,aur kanjusi kharab hai mere liye. Aura chi chiz hai aurto ke liye.
  9. Duniya ka sab se khushal insane wo hai.Jise Khuda ne nek biwi di hai.
  10. Jo khud ko janta hai.Wo khuda ko janta hai.
  11. Apne hosh ko mat khou kisi bhi chiz ke liye Jannat ke siwa.
  12. Dil ki uljhane aur pareshaniya jism ki har bimari Se khatarnak hai.
  13. Apni khuwahisho se ladna sab se ladne se behtar Hai.
  14. Tum me sab se taqatwar wo hai jiska apni nafs Par kabu hai.
  15. Daulat aur lalach har burai ki jad hai.
  16. Baghair aqeedat ke amiri sab se badi garibi hai.
  17. Insan ki ahemiyat uski acchi niyyat par munhasir Karti hai.
  18. Ilm rooh ki taazgi hai.
  19. Danishmand insan marne ke bad bhi zinda rehta Hai.
  20. Har qabiliyat ka nichod ilm hai.
  21. Danishmand ki izzat karna khuda ki izzat karne Ke barabar hai.
  22. Sakhawat har aib ko chupa deti hai.
  23. Kanjus ki daulat siwaye patthar aur kankar ke Kuch nahi.
  24. Khuwahishat hamesha kayam rehne wali sab se Badi dushman hai.
  25. Jo zameen ke upar chal rahe hai 1 din isi ke Andar jayenge.
  26. Dil ki har dhadkan insan ko maut ke aur nazdik Le jati hai.
  27. Log jab tak zinda rehte hai sote rehte hai. Aur Marte waqt jagte hai.
  28. Sachai sabar ka phal hai.
  29. Hunar kabhi nahi marta.
  30. Hunar se hasil ki gayi chiz khandan se mili hui Chiz se behtar hai.
  1. Paarsai se behtar koi panagah nahi.
  2. Insan ka bartao uski soch batata hai.
  3. Khush mizaji se har chiz kharidi ja sakti hai.
  4. Narmi taqat badhati hai.
  5. Hasad hunar ko is tarah khata hai jaise aag lakdi Ko.
  6. Jo udhaar deta hai sunne wale kaan wahi haq Rakhta hai mamle tak dobara pahochne ka.
  7. Maafi achai ka taaj hai.
  8. Nafsani khwahishat har burayyo ka jaal hai.
  9. Har teer jis tarah nishane par nahi lagta.Usi tarah Har dua kubul nahi hoti.
  10. Riya kari har neki ko barbad kar deti hai.
  11. Dar tumhare gunah ke siwa kuch nahi.
  12. Jo tumhari taarif karta hai.asal me tumhe qatal ka Karta.
  13. Jo apni taarif khud se karta hai.dar-asal apni Bechargi batata hai.
  14. Apni waaliden ki izzat karo.tumhari aulad Tumhari izzat karegi.
  15. Insan apni zuban ke piche chupa hota hai.
  16. Ahle akal ki zuban us ke dil ke piche hoti hai.
  17. Zuban teer se zyada gehra waar karti hai.
  18. Jo insan har shak se apna dil paak kar leta hai. Wahi sacha aqidat mand hai.
  19. Danishmand ka khayal najumi ki tarah hota hai.
  20. Talashe haq me nikalna jaise rahbari ke fawware Me jana hai.
  21. Bewaqufo ki majlis me baithna apni ruh par zulm karna hai.
  22. Allah zulm ki hukumat bahot jald gira deta hai.
  23. Zulm buzdili ko badhawa deta hai.
  24. Zabardasti se hasil ki gayi kamyabi zahaniyat ko hara deti hai.
  25. Bheek mangne se mar jana behtar hai.
  26. Jab insaan bheek mangta hai to apna aqeeda kho deta hai.
  27. Haq par yakeen rakhne walo ke liye haj jihad hai.
  28. Nadaan dost se aqalmand dushman behtar hai.
  29. Jahil ka behtrin jawab khamoshi hai.
  30. Accha bayan ya takrir wo hai jo mukhtasar aur maani khez ho.
  1. Bayan dawa ki tarha hota hai,mukhtasar ho to fayda pohchata hai aur agar badh jaye to nuksan.
  2. Be-deen me himmat nahi hoti.
  3. jis ki ummid choti hoti hai,us ka gham bahot bada hota hai.
  4. sach baat bolne ke liye bolne ki aazadi chahiye.
  5. Pachtawa har gunah ko dho deta hai.
  6. Bewaqufi aisi bimaari hai jis ka koi ilaaj nahi.
  7. Burai ki madad karna acchai par zulm karna hai.
  8. Gunah ek bimari hai aur pachtawa dawa.Aur gunah se parhez karna shifa hai.
  9. Gham insaan ko waqt se pehle zaeef kar deta hai.
  10. takabbur taraqqi ko rokta hai aur qaabilyat ko khatm kar deta hai.
  11. maaf karna acchaiyo ka taaj hai.
  12. Jo insaaniyat samajhta hai,wo tanhai talash karta hai.
  13. Sab se behtar bahes apna haq mangna hai.
  14. Galat bayaan haqiqat ko khatm kar deta hai.
  15. Jaise hi insaan ki samajhdari badh jati hai,us me kam guftagu karne ki khwahish paida ho jati hai.
  16. Agar koi logo ke sath insaaf karna chahta hai to use dusro ke liye bhi wo hi khwahish karni chahiye,jo khud ke liye karta hai.
  17. Sab se bada gunah wo hota hai jis gunah ko chota samajh kar kiya jaaye.
  18. Qina-at wo anmol chiz hai jo kabhi khatm nahi hoti.
  19. hukumat logo ki koshish hoti hai.
  20. Jo sach ke khilaaf ladta hai hamesha harta hai.
  21. Dusro ke aib talash karna sab se bada aib hai.
  22. jald baazi ek kism ka pagal pan hai.
  23. laalach kabhi na khatm honi wali ek gulami hai.
  24. Jo apni ahamiyat ko janta nahi wo khud ko tabah kar leta hai.
  25. Apne farz ko anjaam dena sab se badi sarmaya kari hai.
  26. Gussa ek jalti hui mom batti ki tarha hai,jo is par qaabu paa leta hai wo use bujha deta hai aur jo nahi paata wo use hawa deta hai.
  27. Jihaad khush haali ka raasta hai.
  28. Kanjus se zyada tanha koi nahi.
  29. Ilm ameero ka zevar aur garibo ki daulat hai.
  30. Jankari tamaam qaabilyat ki jama hai.
  1. Jo tumhe ek lafz bhi sikhata hai tumhe us ka shukr guzaar hona chahiye.
  2. Jab tak hum ummid nahi karte hum ubharte nahi.
  3. Jo zyada hasi mazak ki aadat daal leta hai wo apni aqalamandi faramosh kardeta hai.
  4. Sach kadwa hota hai,lekin us ka phal hamesha meetha hota hai.Jhut hamesha meetha ban kar zaahir hota hai aur us ka phal hamesha zahreela hota hai.
  5. Kanjusi bahot si buraiyyo ki jad hai.
  6. Ilm aur amal judwa hote hai,ilm ke baghair amal nahi ho sakta aur amal ke baghair ilm adhura hai.
  7. Jo apni haqiqat ko chupata hai wo apni izzat ke sath khelta hai.
  8. jab allah kisi ko be-izzat karna chahta hai to us se ilm dur kar deta hai.
  9. Jab aap ki taqat badhti hai,apni khwahishat ko kam kardo.
  10. Jo chugli karne wale ki sunta hai, wo apne dost kho deta hai.
  11. Andaza laga kar faisla karna na-insaafi hai.
  12. Jo apni ahamiyat nahi samajhta wo badnaami me gum ho jata hai.
  13. Samajhdari se paisa kharch karne wale ko kisi se kuch mangne ki zarurat nahi padti.
  14. Koi bhi chiz seekhne ke liye sharmana nahi chahiye.
  15. Aqeede ka naam sabr hai,aur ye us tarha hai jaise ke jism ke upar sir,jab sir kat jaata hai to jism kisi kaam ka nahi rahta,jab sabr tut jaata hai to aqeeda nahi bachta.
  16. Allah ka karam sab se bada rahnuma hai.
  17. Acchi tarbiyat sab se behtar saathi hai.
  18. Aqalmandi sab se behtar dost hai.
  19. Acchi tahzeeb sab se behtar viraasat hai.
  20. Taqabbur se zyada nafrat karne layaq koi chiz nahi.
  21. logo ke beech aise raho jaise makkhi,parindo ke beech rahti hai.
  22. Logo se mil jaao apni boli ke sath,lekin hamesha un se alag raho apne acche kaamo ki waja se.
  23. Sakhawat karo lekin fuzul kharch nahi.
  24. Duniya ke peeche mat bhago, balke duniya ko tumhare peeche bhagne do.
  25. Aqalmand insaan wo hai jo allah ke fazlo karam se naa ummeed nahi hota.
  26. Jo apne aib ko janta hai wo dusro me aib nahi nikalta.
  27. Aankh wahi dekhti hai jo dil mahfuz rakhta hai.
  28. Ankh ke dekhne ki had hai aur dil ki nazar ko waqt aur jaga bhi qaid nahi kar sakte.
  29. Jo nazar aa raha hai,use dekh kar gumrah mat ho jao,jald baazi bhi ek gumrahi hai.
  30. Bahot sare kaam ek sath mat karo, balke ek waqt me ek hi kaam karo.
  1. Jo tum khud pasand nahi karte wo dusro ke liye bhi mat pasand karo.
  2. Qina-at wo khazana hai jo kabhi khali nahi hota.
  3. Buzurgo ka mashora nao-jawano ki bahduri se behtar hota hai.
  4. Baghair amal ki jaankari mahez ek zubani jama kharch hai.Amal ki jankari hi asal jankari hai.
  5. Waqt ko bila waja barbaad karna sab se bada nuksaan hai.
  6. jo raaz ko chupana janta hai kaamyabi usko milti hai.
  7. Dur andeshi mahfuz raasta hai.
  8. Allah aur bande ke rishte ke jaisa koi rishta nahi hai.
  9. Duaao se dil ko roshan karo.
  10. Dil ko sacchai ki taraf modo.
  11. Paarsai se tamaam ayyashi ko kuchal do.
  12. Mat becho aakhirat ko duniyaa ke liye.
  13. jaha baato ko nazar andaaz kiya jaye waha khamoshi behtar hai.
  14. Bila waja ki guftagu se parhez karo.
  15. Wo raaste par mat chalo jo galat hai,sahi raaste se bhatakna khatarnaak hai.
  16. Allah ki mohabbat me agar tum ko bura bhi bola jaye to mat daro.
  17. Allah ki hifazat har cheez me talaash karo.
  18. Wo khwahish mat karo jo naa-munasib ho.
  19. Agar tumhe sach ki talaash hai,to na sahi raaste se hato aur naa hi shak ko apne me paida hone do.
  20. Apni khwahisho ke ghulam mat bano.
  21. Be-izzati se kamai hui dolat kisi kaam ki nahi.
  22. Khamoshi ki waja se hone wale nuksaan ki bharpaai ho sakti hai,lekin jo nuksaan bolne par hota hai us ki bharpaai nahi ho sakti.
  23. Dusro ke aage hath phailane se behtar khud ki khwahish ko qaabu me rakho.
  24. Izzat se kamaya hua thoda paisa be-izzati se kamaai hui be-shumaar daulat se behtar hai.
  25. Apne raaz ki hifaazat acche se karo.
  26. Zarurat se zyada khoj karne wala har cheez me ghaltiya nikalta hai.
  27. Kamzoro ko satana ya pareshan karna sab se bada zulm hai.
  28. Choti ummido par bharosa mat karo wo barbadi ki jad hai.
  29. Aqalmand insaan choti ghalti se bhi seekh leta hai.
  30. Aqeedat aur sabr se har shak aur khwahishat ko haraya ja sakta hai.
  31. Jo darmiyani raasta ikhtiyar nahi karta wo raaste se bhatak jaata hai.
  32. Ajnabi wo hai jis ka koi dost nahi.
  33. Jab aqeeda nahi rehta, to zindagi naa ummid ho jaati hai.
  34. Jo duniya par bharosa karta hai,hamesha dhoka khata ha
trp